Friday 27 September 2013

Aks.....

Kaise karoon bayan us khwab ko,
Chahaton ke riste, noor-e-aftab ko.
Juban-e-aaine par baaki honge, nishan hamere,
Kyun kar ruswah kar doon, Aks tumhare Ruaab ko.

     --e - DANISH

Wednesday 25 September 2013

Khwahish...

Wo madhosh is kadar apne fasano me hai...
Us raat ko khabar beet jaane ki naa hui........

Reh- reh kar wo yaad karti rahi mujhe.....
Aur shab bhar baad bhi wo mujhe dhoondhti rahi...

Samajh-samajh kar bhi use yaad bhi na aayi...
Aur Fasana shab bhar chalta raha.....

Us raat ki tanhaai bhi abhi dil me hai...
Aur wo tanha kahin Mehfil me hai....

Ud gaya pancchi bhi kahin, aur pankh dharatal me hai...
"Danish" rooh rukhsat ho gayi, aur khwahish abhi Dil me hai...

Tuesday 24 September 2013

Yaad ki Koshish

Koshish ki bhi bahut hamne unhe bhulane ki...
Magar wo hame reh-reh kar yaad aate rahe...
Maine jab khud ko us khuda se jod diya to.....
Mujhe apne AKS me bas wahi nazar aate rahe...

Kucch ajeeb kashish thi us lamhe ki umr me...
Ek chipi khwaish thi hum dono ke seene me...
Us rehbar ko hum se juda karne wala pal ....
Aaj bhi kahi dafan hai mere is seene me...

Wo arzoo muhabbat ki nhi..
Hum dono ki ilteza thi...
Wo pal bazi mar le gaya..
Jab imtihan ishq hamare ka tha...

Monday 23 September 2013

...........Likhoon kya....

Tujhe "khuda" kahoon ya "Shaam" Likhoon...
Kya "Be-Prwah Ret pe" tera naam Likhoon...

Duniya me "sab" haath us khuda ke hain saakib....
Ab kis haal me me hain hum, kya payaam Likhoon...

Apni awaaz me tujhe hi khoja kiya...
Ab aa is Awaaz pe Naam tera Likhoon.

Saturday 21 September 2013

Quran

Quran na talim ke liye hai na taamil ke liye hai....
Ye quraan na numaie-she-mazhab ke liye hai....
Kuchh dafan raaj hain isme pak-saar iradon ke...e-Danish
Bas khuda ke waste dil-o-jahan me utarne ke liye hai..

Friday 20 September 2013

Khushi Uski

Uski khushi ki khatir kyo na apni khushiyan war doon...
Tham jaye ye dindgi yahin mere liye, sada saath uske...

Nikah kabool hai mujhe, na kewal is jahan me...
Har pal har jahan me, jo main saath tumhare hoon...

Hum ko banaya gaya tha shayad isi pal ke liye......
Tumhari har sada ki khatir, main so jaaun sada ke liye...

Tumhare naam kar diya hai pal ye maine...
Danish to kyo na is pal ko shayrana Kar doon...

Tuesday 17 September 2013

Phalsafon Ki "ZINDAGI"

Jindgi phalsafon ka naam hi nhi...
bas har kadam aage badhte jaana hai...

us par jindgi me kya rakha hai..
jaanana ho har gam apnanaa hai..

Sirf kahmoshiyan hi aawaz nahi deti mujhe...
Aksar khuda bhi bulata hai....

Phalsafon me jindgi gujaar dena aasan kafi hai...
Per phalsafe usi ne banaye hain... e DANISH
Jo mil kar khud khuda se aaya hai.....

So my friend Don't be afraid of Rejection
it is necessary in life as Acceptation..

Monday 16 September 2013

Shuruaat

अपने हाथों को भगवान में हमेशा शांत मेरा दिल ..
अपने लाभ के साथ अपने जीवन का प्रभार है...